Milnay Kay Jazbaat
Milnay kay Jazbaat nahin, Khuahish hoti hai
Jo aap ke dil ki gehraiyo se,
Aap ke mazi ki buraiyo se,
Aap ki muhabbat ki chahat mein,
Ubharti hai
Pukarti hai
Tarapti hai,
Kahein kisi tarha us ki ahat ajai
Us ka aks dikh jai,
Us ki jild ki narmi chhoo jai
Us ka piyaar apnay naam kar ke
zindagi muat ke naam ho jai…
Baithay hein tairi aas mein, Intezar mein
Baychain, bayjan,
Ab tu aja, saath apnay maut ke farishtay ko lana
Chahta hon, ‘tujhay daikhna’, Zindagi ka ‘kul’ ban jai…
Yea milnay kay jazbaat, nahin khuahish hoti hia…

0 comments:
Post a Comment